Clutch quiz questions, viva exam questions


Clutch quiz questions:-


Q 1.- Clutch ka matlab kya hota hai?
Ans - Clutch ka matlab hota hai chipakana.

Q 2.- Clutch kis principles pe kaam karta hai?

Ans - Clutch Friction ke principles pe kaam karta hai.


clutch-quiz-questions









Q 3.- Clutch assy ka mein kaam kya hai?
Ans - clutch rotory motion mein ghumta hai, clutch kisi ek shaft se drive lekar same speed aur same direction mein dusari shaft ko drive pass karta hai jabki dono shaft ek hi axis pe fit ho.


Clutch quiz questions

 

 


Q 4.- Clutch ki drive kin baton par nirbhar karti hai?
Ans - (a) Area of contact.
          (b) type of surface.
          (c) pressure applied.

Q 5.- Type of clutch?
Ans - clutch ke type nimnlikhit hai.
(1) Dog Clutch.
      (a) Internal Dog.
      (b) External Dog.
(2) Friction Clutch.
      (a) Cone Clutch.
          (i) Internal cone.
          (ii) External cone.
      (b) Plate Clutch.
          (i) Single plate.
          (ii) Multi plate.
(3) Automatic Clutch.

Q 6.- clutch plate par rivets ko kitna ander fit kiya jata hai aur kyo? 
Ans - 1/32" Niche, taki rivets aur flywheel aapas mein ragar na khaye. 

Q 7.- Clutch par parne wale radial thrust ko jajab kon karta hai? 
Ans - Radial Spring. 

Q 8.- Clutch par parne wale side thrust ko jajab kon karta hai? 
Ans - Leaf spring. 

Q 9.- Clutch plate flywheel se dur kis karan se hota hai? 
Ans - Centrifugal force. 

Q 10.- Clutch ke koi do kaam btao? 
Ans - (a) Engine aur transmission ki drive ko torna aur jorna. 
(b) Vehicle ke load ko aahista - aahista sahaarne mein madad karna. 

Q 11.- Clutch plate liners kiske bante hai? 
Ans - Asbestos ya fiber asbestos. 

Q 12.- Clutch plate ke jalane ke karan batao? 
Ans - (a) Galat gear mein gadi chalana. (b) Jiyada der tak half clutch halat mein chalana. 

Q 13.-Agar clutch plate bend ho gayi to kya hoga? 
Ans - Clutch vibration hoga. 

Q 14.- Clutch Drem ke karan batao? 
Ans - (a) bush bearing ka jaam hona. (b) Pressure plate ja bend hona. 

clutch-quiz-questions



Q 15.- Clutch cushion spring ya leaf spring tut jaane par kya hoga? 
Ans - Clutch jaldi engage hoga. 

Q 16.- Clutch slipping ke karan batao? 
Ans - (a) Clutch lining ka ghis jana. 
(b) pressure plate ka jaam hona. 

Q 17.- Clutch noisy karan batao? 
Ans - (a) clutch lining par tel ya grease aa jana. (b) Release bearing ka loose hona. 

Q 18.- Automatic clutch mein kis assy ka istemal kiya jata hai? 
Ans - Fluid Flywheel. 

Q 19.- fluid flywheel kis principles pe kaam karta hai? 
Ans - Hydraulic Pressure and Centrifugal Force ke principles par. 



Q 20.- fluid fly wheel mein kitne member hote hai? 
Ans - Turbine, Impeller, stator and dog clutch. 



👇👇 You May Like This👇👇






    











Inke alawa aapka koi bhi question ho hume comment karo hum aapko reply zarur denge